Canada ki married ladki

Hello friends, mera naam Abhi hai, aur main Canada mein rehta hu. Main Punjab ka rehne wala hu, aur main Canada mein mini Punjab Brampton ka rehna wala hu. Isi saal main January mein Canada aaya hu, aur main yaha akela aaya tha.

Main air BNB mein ruka tha jaha aur bhi log the. Maine 5 din mein apne liye ghar dhoondh liya tha Brampton ke Sandalwood ilaake mein. Main bata du main dikhne mein theek-thaak hu average body ke sath. Mujhe bas ladkiyon se baat karna aata hai, aur ye story bhi usi ka nateeja hai.

To hua yu, ki main jab naya-naya Canada aaya to kisi ko jaanta nahi tha. Main yu hi muh utha ke nikal jata tha snow ke andar hi, aur baitha logon se baatein karta rehta tha. Mujhe aise hi ek ladki mili Simranjeet naam ki.

Wo Punjab se hi thi, aur Barnala ki rehne wali thi. wo mujhse 4 maheene pehle aayi thi, lekin uski bhi ye pehli snow thi. Usne apne hath mein chooda pehna hua tha, to samajh aa raha tha ki wo nayi-nayi shaadi karke aayi thi.

Leave a Comment