Mummy aur uncle-2

Previous Part: Mummy aur uncle

Subha bas pitaji shop mai jane ke lia nikal hi rahe the ki didi maathe mai sindoor gale pe mangalsutra dalke ghar pe pahunch gayi. Main ek dum se shock ho gaya. Mummy bhi dekh ke heran ho gai.

Pitaji didi ko iss rup mai dekh kar ek dum gusse se laal ho gai. Mummy pitaji ke gussa aur didi ko uske pati ke sath dekh ke age kuch bada hi tamasha hoga yeah soch ke rone lagi. Main to bas statue banke khada hi tha.

Didi : Pitaji hum sadi karlia hai. Yeh meri pati ParamJeet Singh.

Pitaji : Chup karo, aur ek lafz bhi mat bolna. Main koi aandha nahi hun.

Didi : Pitaji, wa asal baat yeah thi ki

Pitaji : Koi baat nahi. Aaj se tumhare aur hamare bich koi rista nahi. Chali jao yaha se.

Pitaji ne rok thok bata dia.

Didi : Mummy, samjhaia na pitaji ko.

Mummy kuch bol rahi thi ki us se pehele pitaji ne bol dia ki

Pitaji : Dekho Smita, aaj tak tum sonam ke sath deti rahi main kuch nahi kaha tha. Par aagar tum abhi bhi uske sath ho to tum bhi unke sath jaa sakte ho. Main tumhe bhi nahi rokunga aab.

Pitaji ki yeah baat sunke mummy aur jor se rone lagi aur room ke aandar chali gai.

Didi : Mummy, mummy, mummy. Pitaji aap samjh

Pitaji : Yaha tumhara koi ristedar nahi rehte bas. Ab tum jaa sakte ho.

Didi : Chalo Param. Hum chalte hai tumhare mama ji ke waha. Wa to hame inke jese mana nahi karenge.

Didi bhi gusse mai bolne lagi.

Phir didi aur Jijaji chale gai. Mujhe milne ka moka bhi nahi mila.Jate waqt didi ne mamaji ke ghar bola tha to main bhi confirm ho gaya ki didi yaha hi rukne wali hai.

Inn sab cheez ke lia main aapne aapko kasurwar manne laga. Aagar main yeah sab pehele hi pitaji ko bata deta to aaj sayad yeah din dekhna nahi padta. Pitaji bahar chale gai aur kuchhi waqt mai wapas aagai ghar. Sayad Pitaji ussdin shop pe nahi gai. Mummy bhi aandar ro rahi thi. Main apne room ke andar hi tha.

Pitaji ake mummy ke sath jhagad ne lage. Yeah sab ke lia pitaji mummy ko hi doshi bana rahe the. Unke hisab se mummy ki support se hi didi ne itne bade kadam uthai hai. Mummy didi ko hamesha se support karti thi isslia didi yeh sab kar dia.

Didi ko padhai ke lia bahar bhejna iss baat ko lekar mummy pitaji se jhagda ki thi to didi Jaipur padhai ke lia gai. Papa ko lag raha tha ki didi Jaipur jake bigad gai aur waha hi Param se mili.

Ussdin pitaji mummy ke sath jor se hi jhagda kia. Mummy uss din chup hi rahi. Sayad mummy bhi yeah sab ke jimmedar khud ko hi manti hogi. Mujhe achha nahi laga q ki yeah sab ki jimmedar to main khud hi hun. Aur main apne room pe hi betha raha.

Jis tarah se pitaji mummy ko dant rahe the Wa rukne wale nahi lag rahe the. Wa bar bar yahi bol rahe the ki unhe love marriage pasand nahi. Akhir kar Sonam bhi Rashmi ki tarah hi nikli yahi bole ja rahe the. Rashmi bua ko gali dele hua Sonam didi ko bhi gali karne lage.

Q ki Rashmi mere bua bhi love marriage karke apne ashiq ke sath bhag gai thi.

Rashmi bua aur Vikram foofa dono milke padhte the. Wa dono classmates hi the. Didi ki tarah bua bhi university ki padhai karne ke lia visakhapatnam gai aur waha foofaji se mili. Aur waha se sidha foofaji ke sath bhag gai.

Jab pitaji ke doobara shadi mummy ke sath hone wala hai sunke buaji pitaji ke shadi mai aye to pitaji ek bada tamasha khada kar dia. Aur unko andar ane nahi diya. Yeah sab mummy aur pitaji ke shadi ke din hi hua tha. Mummy ne khud yeh baat mujhe batai thi.

Sayad isslia pitaji didi ko jyada tok te the. Unhe shakt nafrat tha love marriage se.

Ussdin pitaji ne mummy ko jor jor se bahat dante. Din bhar bhas pitaji anap sanap bole ja rahe the. Uss dia mummy pitaji aur main koi bhi lunch nahi kia. Dant sunte hua bhi mummy ne mujhe lunch ke lia puchhe par main mummy ki rote hua sakal dekh ke mana kar dia.

Udhar pitaji mummy ko ruk ruk ke dant rahe the. Mummy bus chup chap unki dant sun rahi thi. Q ki mummy lachar thi, mummy ko iss halat mai dekh mujhe unn par daya ane lagi.

Yeh sab mujh se suna nahi gaya aur main ghar se bahar nikal gaya khelne ke lia. Par mera mood kharab tha to main bina khele sirf betha hi raha.

Tab mujhe yaad aya ki didi aur jija to unke mama ke waha gai hai. Mujhe unka ghar pata tha to main didi ke paas jana thik samjha. Yeah sab batane ke lia ki, unke lia mummy kitna dant kha rahi hai pitaji se.

Main jab unke ghar pahuncha to dekha ki didi jija aur unke mama mami Hall pe beth ke gappe mar rahe the. Main kuch der bahar hi door ke paas khada hoke unn logo ki baate suna.

Mami – Are beta ro mat. Tumhare parents tumhe support nahi kia to kya hua hum hai na. Hum sath denge tumhare.

Mama – Abhi abhi naye naye shadi kia ho, khusi manao, yeah rote hua tum achhi na lagti ho. Chup ho jao beta.

Mami – Hum bhi to tumhare parents hi hai na. Param ke parents tumhe accept kar lenge tum tension mat lo. Wa sab hum dekh lenge. Are Param beta samjhao na apne biwi ko.

Mama – Jao, tum dono room ke aandar jao. Waha aaram se samjhao.

Jija – Are sona, tumhari galti nahi hai kuch. Tum rona band karo. Utho aur room ke aandar aao. Thodi der aaram karlo achhi lagegi tumhe.

Tab main door khula hi tha to open karke aandar gaya.

Main – Didi,

Mujhe dekh ke didi bhag ke mere paas ayi aur mujhe gale se lagayi rote hua hi.

Main – Didi, ro mat.

Didi – Kya tu bhi mujhe galat soch raha hai. Kya main galat hun? Tu to Param ko bhi jaanta hai. Kya Param sahi nahi hai? Param se main kitni milti thi aur kitni pyar karti hun wa sab bhi to tujhe pata hai.

Itne sare questions didi ne puchha ki main kuch bol bhi nahi pa rahi thi.

Didi – kya tu bhi pitaji ke tarah mujhe paraya kar dia. Kya tu Param ko apna jija nahi manta ?

Main – Nahi didi asi baat nahi. Aap meri didi ho aur apke pati mere jijaji hai. Main hamesha se apke sath dete hua aya hun. To aaj kese aapko akela chhod dunga. Main aaj bhi aap ke sath hun.

Tab jijaji hum dono ke paas aye. Mujhe side se hi apne gale lagaya.

Param – Thanks Rahul. Bahat bahat sukriya tumhara. Kher tum to hame thik se samjhe. Pata nahi q tumhare mummy aur pitaji hame thik se samjh nahi paye.

Main – Nahi jijaji. Mere hisab se to aap dono ne sahi nahi kia. Pata hai didi tumhari harkat ki wajah se aaj din bhar mummy ko kitni dant padi. Aaj din bhar bas mummy ro rahi thi. Pitaji to mummy ko hi jimmedar samjh rahe.

Didi phir rone lagi. Jijaji didi ko samjhate hua chup karane lage.

Didi – Chhotu tu mummy ka khayal rakh na. Aab to main bhi nahi rahi unka sath dene ke lia. Pitaji itne khadus hai pata nahi mummy kese shadi karke unke sath rehti hai. Koi bhi nahi reh sakta unke sath.

Main – Han Didi, bilkul. Main to bas yaha aapko batane aya tha ki mummy ko apki wajah se kitna dant pada. Aab chalta hun didi ghar. Pata nahi mummy pitaji kya kar rahe honge.

Didi – Thik hai chhotu. Hum bhi kal Chandigarh nikal rahe, Param ke parents se milne. Jo kuch bhi hota hai mujhe call karke batana. Bhul mat jana.

Main – Han didi bataunga roj. Achha jijaji Didi ke khayal rakhna. Main nikalta hun abhi.

Param – Tum fikar mat karo didi ka. ( Didi ko hug karte hua) Tum bas aunty ki khayal rakho aur touch main reh na hamare.

Main – Han jijaji, bye.

Param – Ek min ruko Rahul.

Phir jijaji mujhe kuch paise dia. Main nahi le raha tha. Par didi ke bolne par rakh lia aur sabko bye bolke nikal gaya. Bahar ake jab main paisa ginti kia to wa 12000/- the. Main man hi man jijaji ke tarif karke khus ho gaya. Socha ki didi ki to kismat hi ban gaya. Aur main waha se aagaya.

To be continued…

Leave a Comment